📿
Ramadan Duas
Curated supplications for the blessed month
Aye Allah! Rabbul izzat, aye saari qaayenaat ke shehensha, aye saari makhlooq ke paalne wale, aye zindagi aur mout ka faisla karne wale, aye aasmano aur zameenon ke malik — tu har cheez par qaadir hai.
- ✦ Aye Allah! Hum tere gunahgar bande hai, tere khatakar bande hai — humein maaf farma
- ✦ Aye Allah! Hum apne agleh, pichle, sagira wa kabeera, chote bade sabhi gunahon aur khataon ki maafi mangte hain — hamari tauba qubool farma
- ✦ Aye Allah! Hamare sagheera aur kabeera gunahon ko maaf farma
- ✦ Aye Allah! Hum gunahon se tauba karte hai — hamari tauba qubool farma
- ✦ Aye Allah! Tu apni rahmat se hamein maaf karde
- ✦ Aye Allah! Hamare gunahon ko maaf farma
- ✦ Aye Allah! Hamare khata-on ko maaf farma
Aameen, ya Rabbal Aalameen 🤲